search box

April 20, 2009

Romantic Shayari


Romantic Love Shayari , Romantic Shayari


Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye
Ek tera hi naam tha jise hazaar baartha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye...



Dosti se badi koi Jagir nahi hoti,
isse acchi koi tasvir nahi hoti.
Ek najuk pyar ka dhaga hai,
fir bhi isse pakki koi janjeer nahi hoti.


Apnon ne maara hai humko
Gairon mein kahan tha dum
Kashti bhi apni to doobi
Paani jahan tha kam...


Jahan Bhi Rahain ek Hi Baat Hai...
Tum Pass Nahin ek Hi Baat Hai..
Kabhi Bin Tumhare Roya Karte The..
Ab Tum Dhoor Ho ek Hi Baat Hai


Us falak ke teer ka kya nishana tha
Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
Bas pahunch hi rahi thi kashti saahil pe
Is toofan ko bhi abhi hi aana tha...



Mera ikraar tere inkaar se behatar hoga
Mera din bhi teri raat se behtar hoga
Yakeen nahin to dolee se jhankke dekhna
Mera janazaa teri baaraat se behatar hoga...


Na reh jaye koi aas tere baad fir,
Na reh jaye koi pyaas tere baad fir,
hai meri yahi aarzoo, ae mere humnashi,
Na reh zindagi bhi tere baad fir......



Kabhi roke muskuraye, kabhi muskurake roye,
Teri yaad jab bhi aayee, tujhe bhula bulake roye....
Ek tera hi naam tha jise hazaar baar tha likha
Jise khush hue the likhkar use mita mitake roye.......


Dosti se badi koi Jagir nahi hoti,
isse acchi koi tasvir nahi hoti.
Ek najuk pyar ka dhaga hai,
fir bhi isse pakki koi janjeer nahi hoti.


Kismat se apni sabko shikayat kyo hai?
Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai?
Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein,
Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai



Tanhai Mein Faryad To Kar Sakte Hai,

Virane Ko Abaad To Kar Sakte Hai,
Kya Hua Aapse Mil Nahi Sakte,

Par Aapko Yaad To Kar Sakte Hai.


Mere andaaz wo samajh naa sake,
Mere jazbaat wo samajh naa sake,
wo samajh naa sake meri majbooree,
Mere haalaat wo samajh naa sake...


Tere bagaeir kaise beetegi ye zindagee,
zinda magar rahenge hum hai kaisi ye bebasee,
kya jaane ab milenge bhi ya naa milenge hum,
Teri magar ye aarzoo chhootegee na kabhie..



Mere dil to tere pyar me itna pagal hai,
Jo sab ko chorke tere paas rehta hai,
Yaha tak ke muje uski zarurat hai,
Phirbhi mere paas ake usne dharakna chordiya hai...


Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai...


Tumhara jutha pyar ko hamari zindagi samja,
Tumhe apna dil deke tumhara dard liya,
Tumhare khel ko me samaj na saka,
Tumko bewafa kehne ka kabil na raha...


yeh uljhe uljhe gesu inhe lakh tum sajao,

yeh uljhe uljhe gesu inhe lakh tum sajao...
Agar inhe main sajaonga to kuch aur baat hogi.



Mere dilki har dharkan tumhare liye hai,
Meri har muskurahat tumhari nadaani ke liye hai,
Tumhari har ada mere dilko churane ke liye hai,
Abh to meri zindagi tumhare intezaar ke liye hai...


Aisa lagtaa hai, ke saaree khubsuratee tuj mein samaagaye
Raahon mein chalte ho, to nazarein tuj par rekhtee hai,
Andheraa jeevan bhi, tuj se roshan ho jata hai...


Kaise kahe ke aap kitni khubsurat hai,
Kaise kahe ke hum aap pe marte hai,
Yeh to sirf mera dil hi janta hai,
Ke hum aap pe hamari jawani qurban karte hai...


Jab se tumhe dekha tumhara deewana bangaya,
Tumhari muskurahat ne hame madhosh kardiya,
Tumko bhi pata na chala, kaise humne tumhara dil churaliya...


Ya khuda maaf karna tere is gunehgaar bande ko,
Jo tumhari chamatkaar me dakhil hota hai,
Sirf ye puchne ke liye aaya hu mein,
Ke kyu har raat ko mera dil rota hai...


Tumhare pyaar me hamne bhohot chote khaye,
Jiska hisaab na hosake utne dard paye,
Phirbhi tere pyaar ki kasam khake kehtahu,
Hamare lab pe tumhare liye sirf pyaar aaye...



Chand ki raton mei sara jahaan sota hai,
Lekin Teri yaadon mei koi badnasib rota hai...


Buj gaya bhi to kya apne dil ke diya,
Abh na roenge hum roshni ke liye,
Dil ka shisha jo tuta to gam kyu kare,
Dard kai hai bus zindagi ke liye..


Khuda kisiki muhabbat pe fida na kare,
Agar kare to zindagi bhar judaa na kare...


Phool khilte hain, khil kar bikhar jate hai,
Phool khilte hain, khil kar bikhar jate hain,
Yaade to dil me rehti hai, Dost mil kar bichad jate hai...


Khilte hai gul yaha, khilke bikherne ko,
Milte hai dil yaha, milke bicharne ko...


Dil ko kya ho gaya khuda jaane
yon hai aisa udaas kya jaane
eh diya maine haal aur dil apna
sko hum jaane ya khuda jaane...


Badi mushkil me hu,
mein kaise izhaar karu,
tu to khushbu hain,
tujhe kaise giraftar karu....



har sawal ka jawab mile jaruri to nahi
har ankhon ko khawb mile jaruri to nahi
bhagwan ki adate hai intihan lena
har intihan hum pass ho jaruri to nahi


Na jaane aaj dil itna udas hai kyon
Vo ho ke door itna pas pas hai kyon
Mujhe malum nahi uske liye main kaun hoon, kya hoon
Magar mere liye vo itna khas hai kyon


Nafratein bhi uss se ,mohabbatein bhi uss se
yeh dilke mamle bhi hua karte hai ajeeb
na toot kar judein,na jud kar kabhi tootein
yeh qurbaton ke faasle bhi hua karte hai ajeeb
usse dekhun toh na chahun ,
na dekhun toh chahunyeh dil ke faisle bhi hua karte hai ajeeb
woh mile toh na mile,woh na mile toh milne ki justujoo karun
yeh mohabbatin se imtehaan bhi hua karte hai ajeeb.



computer pe ishq,,ishq ki touheen ho gayi....
shaamil hasthiyaan...aaam aur naamcheen ho gayi...
izhaare ishq hotha hain computer ke parde par....
ehsaas bina muhabbat masheen ho gayi...
nahi fhutte ab sacchi muhabbat ke ankur....
aaj dil ki itni banjar zameen ho gayi....
janm hua jis paak muhabbat ka jamuna kinaare....
khoon ke naapaak iradon se wo rangen ho gayi....
kyu upar waala dekhta nahi in ghunahon ko....
shayad haiywano ki duwaye ab aameen ho gayi....
katl karte hain "neal"...chalaki se muhabbat ka....
padi likhi nasl dekho kitni jaheen ho gayi....



Dost hote nahi bhul jaane ke liye,

Zindagi milti hai dost banane ke liye,

Humse dosti rakhyega tho itni khushi denge,

ke waqt hee nahi milega aansu bahane ke liye.


kal jab wo khud chalna chahta tha saath mere...
mana karti rahi mein dekhe bina wo kinaare....
aaj fhir wo kinaare lagne lage hain pyaare....
duriyaan badi hain, nahi rahe aaj ke kinaare....


Usne Kaha Mujhse Kitna Pyaar Hai

Maine Kaha Sitaron Ka Koi Shumaar Hai..?

Usne Kaha Kaun Tumhe Hai Bahut Azeez

Maine Kaha Dil Pe Jiska Ikhtiyaar Hai
Usne Kaha Kaunsa Tohfa Hai Pasand?

Maine Kaha Wo Shamaa Jo Ab Tak Udhaar Hai.

Usne Kaha Saath Kahan Tak Nibhaoge..?

Maine Kaha Jitni Ye Saanson Ki Taar Hai
Usne Kaha Mujhko Yaqeen Aaye Kis Tarah.?

Maine Kaha Mera Naam Hi Aitbaar Hai..!

No comments: